Syed Munawar Hassan se guzarish By Ansar Abbasi
Source: Jung News
Read Urdu column Syed Munawar Hassan se guzarish By Ansar Abbasi
To see updates on facebook about Ansar Abbasi columns, Books and videos, Become a fan of Ansar Abbasi Columns@ http://www.facebook.com/AnsarAbbasiColumn
Bht khoob ansar abbagi shb!
zehr to kisi r ne nahi ugla aap yeh zehr zarur ugal rahay,baat yeh hai k jamaat_e_islami ka ameer apni janib apni marzi se aisa koe beyan de he nahi sakta,inka ek syestem hai ek tariqua kaar hai!
pakistan mein anduruni sazishein hamesha hoti rahein khaw voh adliya ka idara ho,fouji idara ho ya jamhuri idara ho,iss baat se inkar kerna munasib nahi,yeh munawer shb ka talluk shehr karachi k muhajir gharanay se hai,unhein iss sazish ka hissa to banna he tha voh jo Ameer jo thehray!
1947 k baad pakistan mein jamaat_e_islami ko agr doulat_o_shohrat mili to pehlay shehr karachi se phir dusray east pakistan se he mili uskay baad he iss jamaat ko pakistan k dusray hissay mein phailnay phulnay ka mouqa naseeb hua,east pakistan mein honay wali sazishon ka ahm tareen hissa yeh jamaat bhe rahi,Al_shams ho ya Al_badar iskay zariya bhar pur andaz se east pakistan mein dahshat gardiyan karaie gayein jiska mousuf bhe etraaf kartay rahay hain! East pakistan ya East pakistani iss pakistan ki sazishon ka hissa banay,wazah kardun k pakistan k iss hissay ne kabhi East pakistan ya East pakistanion ko pakistan ya pakistani tasleem he nahi kia jiski buniyadi wajeh East pakistan ki abadi thi voh taleemi eitbar se pakistan k iss hissay se mazboot thay mustahkam thay!pakistan k iss hissay k Waderay,jagirdar,sarmayadar,choudhry ya zamindar tabkay se talluq rakhnay walay siyasat daan apni sazishon mein mazboot r mustahkam nazar aaye,mulk mein Amrana dour ki hukumat ko parwan chardhanay k bhe yahi zemmedar thay chunki jamhuree tarikay se yeh waderay,jagirdar,sarmayadar,choudhry,ya zamindar tabkay se talluk rakhnay walay siyasatdan apni sazishon ko kamyaab nahi kara saktay thay!khair ayub khan k Aamrana dour ko protect karnay walay bhe yahi sazishi anasir he thay!
Aaj yeh jamaat karachi k hawalay se kamzor dikhaie de rahi,sindh k shehri elakon mein issay ruswaie he nazer aa rahi,ab fitra zakat ya qurbani k khalon k hawalay se milnay wali raqam bhe kaafi kamzor hoti ja rahi hai,inkay apnay gharon mein MQM janam le chuki hai jiski wajeh kr donation mein bhe kami dekhi ja rahi,sindh k dusray elakon mein jahan sindhi speaking hua kartay hain wahan pehlay he inhein paziraie nahi mil saki thi wahan yeh pehlay he kamzor nazer atay thay jiski buniyadi wajah pakistan peoples party k sarbarah Zulfiquar ali bhutto thay,unki sazay mout k baad ismein mazeed izafa hua r ye sindh mein urdu speaker k baad ponjabi r pashto zuban bolnay walay tk mehdood reh gayee thi jinki abadi sindh k shehri elakon mein reha karti hai!
Ansaar shb munawer hassan shb ko iski zemmedari na dein inkay khilaf to sazishein ki gayein hain thik usi terah jis terah fouj k sarbarah mulk k sabik sadar Perwaiz Musharaf shb k khilaf sazishein ki gayein!Musharaf shb to apni salahiyat ki wajeh kr in sazishi anasir ko shikast dene mein kamyab ho gaye(ab agay dekhein keya hota hai) lekin yeh munawer shb mein voh salahiyat nahi jiskay zariye yeh sazishi anasir ka mukabla kr sakein,yeh kamzor insan hain,buzdil bhe hain!
khair munawer shb to sazishon ka hissa bn gaye iskay elawa karachi se talluk rekhnay walay dusray rehnuma bhe iss sazish ka hissa bn cgukay hain,Jamaat_e_islami sindh k shehri elakon mein Tehreek_e_Taliban(pakistan) ya Pakistan Tehreek_e_insaf k leye he apni khidmaat anjam dene ki koshish karegi,khud ko yeh Kpk r baluchistan tk he medood karegi, iskay elawa punjab mein bhe apni compain chala sakti hai,sindh mein apni political activity ka khatima kr chuki hai jiska elan yeh nahi kr saktay chunki inhein sindh k shehri elakon se apni jamaat k leye sabsay bari recovery karni hoti hai,apni political activity ka to yeh bharpur muzahra kareingay lekin aksar election mein PTI,TTP ya phir dusree siyasi quvat k haq mein dastbardar ho jaya kareingay!munawer shb siyasi shikast kha chukay hain,shah se zeyada shah ki wafadari karnay ki khawhish inka siyasi career tabah kr chuki hai,ab shehr karachi se talluk rekhnay walay dusray rehnumaon ko bhe sochna hoga,fitray zakat r qurbani ki khalon k zariye ya donation dene walay hazrat ko bhe apnay hawalay se dekhna hoga unhein sochna hoga fikr kerna hoga!
I think Ansar Abassi has made a good analysis. JI is a more patriotic than any other Pakistani political party. JI sacrificed thousand of its workers in East Pakistan to save this Country. Other parties in Pakistan are just to plunder the wealth of Pakistan. One of the common blame passed to JI is the reception of dollars during Afghan Jihad which seems nonsense, as financial resources of the JI are testimony to this effect.
Ansar abbasi is misguiding people… Qudrat hameshta insaf karte ha aur jo mazalim en dono groups JI aur Fauj dono ne ke ha sadah looh afghanyano aur pukhtoono ke saath aaj woh bugat rahe ha…. Ye Makafaat amal ha
Haqeeqat Hamesha Haqeeqat rahy gi
Kabhi bhe na is ka Fasana bany ga
allah ap ko kamyabi dy or esy tarhan ap pakistan or islam ke khidmat kerty thain ameeen
I disagree… Ansar Abbasi saab yeh sb batein apko Munawwar hussain saab ny raat ko btai hoon tou pata nhi but reality yeh hai k jamat-e-islami ka koi aik muakkaf hi nhi raha…. agr yeh aaj amerca ko wakai galat samajte hain tou uss time yeh kahan the jab Bhutto ko phansi ho rhi thi…. uss time tou jamat-e-islami ko sirf iqtidar sy pyar tha… aur national assembly mein hlf ly rhe the… aur 2sri taraf bhutto sirf amerca se mukhalfat ki waja sy shaheed kiya ja rha tha.. agr yeh jamat-e-islami wakai mein sach k sath hai tou uss time bhutto ka sath q na diya inn logoo ne… but ansar abbasi sab aap nhi samjhein ge… q k aap kabhi neutral ho kar sochty hi nhi……
WELL written Ansar Abbasi sahab, it was a media trap but then jamaat e islami is not just a political party, its an islamic revolutionary body and has always spoken truth despite the circumstances and this was what has always been expected from the righteous to speak against the tyrant without any hesitation… watever followed his this interview just made the obvious more obvious and increased the faith of the believers…
are myaa tanvir sahab
Ansaar Abbasi ki shaksiyat dekho aur apni baate dekho
aap Ansaar Abbasi ko sikhane jarahe ho?
Jis ko General Shahid Aziz apna Bara maan kar un ke zarye apni baate media ko deta tha.
Hosh k nakhun lo
aur thora adab hi seekh lo
Baro se seekhte hein unko sikhate nahi